#yeh kya hua kyu hua
Explore tagged Tumblr posts
Text
Gov. 1week holiday announce kare (cuz of heat wave) matlab yeh nhi ki tum log dubara se online classes start kardo 😩
#wb gov announcing holiday#🤝#schools starting online classes#students ka inlogo ke bich haal behal#being desi#desi tumblr#desiblr#tumblr#this is a cry for help#yeh kya hua kyu hua#itna suffer kyu h life mei#no gain only pain
2 notes
·
View notes
Text
Told my mumma about hostel life, all the gossip and esp about this one room mate who kinda gives me backhanded compliments.
Well it's tumblr i will overshare lol. Here you go.
1. So I had edited a reel for my family trip and there was a clip where I was laying on the bed and my hair was open. It was windy so my hair was flying a little and it looked very good, like those old heroines leaving hair open with the wind. This room mate, we will call her Pinki, she saw it and said: Yeh tu hai? Tu kabse itni sundar dikhne lagi?
2. And then one point when I was new to everyone, I decided to share my writings with her because I found out she writes too, only for her to say: Yeh tune likha hai? Tu itna acha likh sakti hai? Kabse? Woman could simply smile or say acha hai ya jo bolna hai bolke jati bc aise kon bolta hai.
3. I have acne. Hormonal hai and periods ke 1 week pehle I breakout more baki time small pimples and open pores. And many a times she will come and tell me tu doctor ko dikha na. Yeh red kya hai? Oh naya pimple. Yeh kaise hua? Tera itna kyu hai? And believe me, my 6th grader self would have cried, but now I actually don't care about acne much. Meri mumma ka bhi same tha and so is mine. Her skin cleared up in 20s so she told me thoda wait karo apne aap ho jayega and I am pretty confident in my looks actually.
4. So I generally don't like much people on my class. Boys are shit with their misogynistic minds and well the girls are nice, decent enough but even there there is a whole different thing going around. Anyway, so in class, there was a public speaking opportunity, I grabbed it. The whole class got shocked about it because oooh the quiet girl in the class can speak. Many came up to compliment me. But Miss Pinki decided to give her intro while throwing shade over my activities. Like me living by a planned google calendar, me prioritising my dance and studies because acc to her college life mein mauj masti = gossip, pranks and outings. Bc sabke alag tareeke hote hai mazak masti karne ka. Then she decided to compare my lifestyle vs hers in her intro and God the way I felt embarrassed, partially for myself and the remaining for her
5. Tends to interrupt me when I am talking to someone. Another sweet friend of mine asked if all was good with my bf because she hadn't talked to me much because she is in a different branch. I was about to anwer when Miss Pinki decides to say kuch acha nahi chal raha bass durr se hi acha lagta hai. Mera toh jo haal hai puch mat.
7. One time I was teaching a friend about an app which I had taught to Pinki too. Pinki after gossiping with the boys hostel (now that's a whole different tea and our girl is delusional) decides to interrupt me halfway, takes away the laptop and then continues teaching her as if I am fucking invisible.
In conclusion, mumma told me that you focus on studies and dancing. Go with the other girls and since you have made new friends with the dance society too, meet up with them too.
81 notes
·
View notes
Text
jisse zindagi dhund rahi hai, kya yeh vo makaam mera hai
yahan chain se bas ruk jaau, kyu dil yeh mujhe kehta hai
jazbat naye se mile hai, jaane kya asar yeh hua hai
ik aas mili fir mujhko, jo kubul kisine kiya hai
han kissi-shayar-ki-ghazal jo de ruh ko sukoon ke pal, koi mujhko yun mila hai jaise banjaare ko ghar
naye mausam ki seher ya sard mein dopahar, koi mujhko yun mila hai jaise banjaare ko ghar
17 notes
·
View notes
Text
Love English music all you want, but NOTHING, I repeat NOTHING, hits harder than desi music. Like every single singer has their own trademark genre which they can execute PERFECTLY??
Can we talk about Arijit’s Mai gehra tamas tu sunehra sawera main tera in Kalank?
or his Tum sath ho ya na ho kya fark hai, bedard thi zindagi bedard hai in Agar tum sath ho?
or Tujh sang sukhi roti bhaye in Mast Magan? Ok leave that.
Lets talk about Atif’s Khayalon me lakho baaten yun toh keh gaya, bola kuch na tere saamne in Tu jaane na?
or Rafta rafta tera hua, tere bin mai hu benishan in Tera hua?
or Tenu lakhan ton chhupa ke rakhaan akkhaan te sajaa ke tu ae meri wafaa, rakh apna bana ke main tere layi aan yaara in Dil Diyan Gallan? Ok leave that
Let's talk about KK's Chaand Teri roshni ka halka sa ek saaya hai in Ajab Si?
Or dil kyun yeh mera shor kare, idhar nahi udhar nahi teri orr chale in Dil Kyu Yeh Mera?
Or lut Gaye hum teri mohabbat me in Tadap Tadap? Ok leave that.
Let's talk about Jubin Nautiyal's tum se jo mil gaye, Mausam khil gaye, khudse ladne Lage hum sawarne lage in sawarne lage?
Or Mausam mohabbaton ke, lamhe ye chahaton ke apne liya bane hai maan le in Gazab ka hai din?
Or tere bina main na rahu mere bina tu in raatan lambiyan? Fine, leave that as well.
Lets talk about Shreya Ghoshal's kaise huzurji ye lab dikhlaaye, chuppi lagake bhi gazab hai yeh dhaye in saibo.
Or Ye ishq haaye baithe bithaaye jannat dikhaye hain in ye ishq?
Or Dil bharta nahi, aankhen rajjti nahi, chaahe kitna bhi dekhti jaaun, waqt jaaye main rok na paaun in Thodi Der?
And DO NOT get me started on Mohammad Rafi, Kishore Kumar, Lata Ji, Asha ji and Sonu Nigam. Desi songs are peak lyrics, romance, emotion and vocals. You're straight up wrong if you think ANYTHING can beat that. I love Taylor, 1D and all, but Hindi songs? Absolutely unmatched!
Comment/reblog you favourite lyrics below!
#desi#arijitsingh#desi songs#hindi songs#atifaslam#jubin nautiyal#sonu nigam#kk#kishore kumar#mohammed rafi#lata mangeshkar#shreya ghoshal#desisongs
351 notes
·
View notes
Text
tum kuchh kehete kyu nhi?
zara hume bhi batao tumhari mann ki doriya kaisi uljhi hai. ya kaise tum unn doriyo mein uljhe ho?
tum kuchh kehete kyu nhi?
har dafa yu khamosh sy kyu rehte ho? jab dil ko koi baat chub jaye, toh bhala usse mehesoos kyu nhi krte ho? jab dil doobne lge, toh madad lene mein hichkichate kyu ho? kyu apne mann ko yu bewajah alag asmaano mein kho dete ho?
tum kuchh kehete kyu nhi?
jab koi puche "kya hua?" toh "kuchh nhi" keheke thukra kyu dete ho? zara woh uljhi doriya humare haatho do.
kya pta tumse behtar suljha de?
khamosh sy ho.
bharosa nhi?
ya darte ho?
tumhari yeh bhaari khamoshi mere mann ke har kone mein goonjti hai.
isliye shayad sada tumse puchti rahungi
tum kuchh kehete kyu nhi?
-ish✧*。
20 notes
·
View notes
Text
Chapter 8 - Affection And Gut Feeling
Book master list
I was blushing like never before. My heart was beating like crazy. I went to my lecture and got all the work done. Made my notes. Everything was good, for once.
After the lecture, I got a call from Aman.
"Hi."
"Hi, sweetheart!" and he blew a kiss on the phone.
"Aman, thoda toh behave karo! Log kya sochenge? Aur tumhara lecture khatam hua?" I was laughing and smiling like crazy.
"Kyu? Kya problem hai? Main apni girlfriend se baat kar raha hoon aur main abhi kiss bhi karna chahata hoon, lekin woh mujhse door hai. Ha, lecture khatam ho gayi. "
"Baad me karlena. Abhi nahin."
"Baad me kab?"
"Jab mein tumhare saamne ajaungi."
"Okay." He seems upset.
I knew where he was, so to a surprise, I reached where was his last lecture and kissed him. You had to see his face. It was like giving a kid a new toy or giving him or her a lollipop. He was so happy.
"Yeh kya tha?"
"Yeh ek thank you tha?"
"Thank you?"
"Thank you isiliye kyun ki tumne meri zindagi badal di. Thank you for being my Aman. My angel."
"Main koi angel nahin hoon. Main toh bas is devi ka das hoon ."
"Accha? Yeh kuch zyada nahin hua?"
"Belkol nahin! By the way, I have got something special planned for you. "
"Kya?" I was very excited.
"Woh tumhe tumhare room miljayega."
"Accha? Tum late mat hona. Aur apna khayal rakhna, okay?"
"Okay." He said while touching my hand.
From that moment, I felt that something was off. I couldn't pinpoint what, though.
Go To Chapter 9
#writing prompts#otp prompts#writing#writeblr#imagine your otp#prompts#otp writing#kal ho naa ho#dharma productions#jaya bachchan#srk#srk movies#srk the king of bollywood#shahrukh khan#shahrukh#shah#shah rukh khan#shahrukhkhan#saif ali khan#preity zinta#sushma seth#dara singh
2 notes
·
View notes
Text
*Kaisi Ho Tum…*
Kya pucha liye uss ne jo barso se bolne ko bekraar the
Kahan se shuru kare ki kya hai kaise hai aur kyu hai tere bin mein
Tab bhi ek koshish kar rehi hun
Khud ko khud ke aaine mein hi dekh kar bol rehi hu
Yehi sawaal tha jo tera
Kya kahun kaisi hoon main....
Na jaagi si, na hi soyi hui si hoon main
Hosh mein bhi madhosh hoon main
Khud ko khoj rehi hun pata hi nahi kahan khoyi hui si hoon main
Sudh budh khokar Gum sum si
Na khabar din ki, Na hosh raat ki
Gehere se samunder si Khamosh hun mein kya kahan tumhe ki kaise hun mein
Har pal zehen mein tumhara hi suroor liye
Ho sakke hum aapke yeh sapne aakhon mein liye
Yaadon ko tumhari apne mein liye
Jee rehe hai beparwah befikre kya kahe tumhe kaise hun mein
Yeh pyaar ki baatein purani hi sahi
Meera thi deewani Kanha ki yeh baat sab ne kahi
Par uske ehsaas ko koun puchta
Kanha ke sand to Radha hi rehegi iss Meera ke Prem ko koun puchta koun Pujta
Bus tumhare pyaar mein Meera bani phir rehi hun
Hardam tarasti hun tumhari ek jhalak ke liye maano janmon se tere dee ki pyaasi hoon main
Sab jaan ke bhi yeh kaise puchte ho ki kaisi hun mein
Tere bina baawli si,jhalli si,pagaal si
ek ankahi gajal ek Adhuri shayari ek aadha likha hua geet hun mein
Jis mor mein choda tha
Manjil ki aashi raah hun mein aadha ehsaas hun aur kya kahu
Kaise hun mein
Bus chalte hue aadhi laash hun mein
Kya kahun kaisi hun mein
Kya kahun kaisi hun mein.....
#devspeaks#hindiwriting#poets corner#poets on tumblr#hindipoetry#hindiwords#poem#poetry#life quotes#love poem#colaboración#life
4 notes
·
View notes
Text
Kuch samjh nahi aa raha kya karu
rone ka mann kar raha, Dil baitha ja raha hai but ro bhi nhi paa rahi hu.. kisi se baat bhi karu toh bas dusro ki sun rahi actually sun bhi nahi rahi hu..ya fir bas sunne ki acting kar rahi hu..kyuki kuch samjh hi nahi aa raha hai.
Kuch samjh hi nahi aa raha hai aage kya karna hai..jindagi me kitna kuch karna hai mujhe kitna kuch paana hai lekin filhaal bistar tak se nahi utha ja raha hai..yeh likhte waqt mere haath kanp rahe hai yeh sab kyu ho raha hai mere sath yeh sab kab khatam hoga
Darr tha jis baat ka mujhe wahi hua..pata tha mujhe ki tum nhi pasand krte ho mujhe fir bhi aas lagakar baithi thi ki ek din karoge...
Ro bhi nhi sakti hu.. na hi mann halka karne ke liye apne dosto ko kuch bata sakti hu..jitni khushi ke saath unko tumhari aur meri baatein batati thi ab kis muh se batau unko ki baatein abhi ho toh rahi hai but kush nhi hu main kyuki tum khush ho kisi aur ke saath baatein karke..
Jo main tumhare liye mehsoos karti hu..jaise main tumhe apne paas chahti hu..waise tum bhi chahte ho bas farak itna hai woh main nahi..
sapno ki duniya se bahar aana pad raha hai shayad isliye kuch samajh nahi aa raha Ya fir isliye kuch samajh nahi aa raha hai kyuki tum mujhe samjha nahi rahe ho, adat ho gyi hai mujhe sirf tumhari baatein samjhne ki or ab aisa nahi ho raha aur ya fir isliye kyuki main tumhare alawa or kuch samjhna hi nhi chahti.
Itna soch liya h tumhe ki tumhare alawa kisi aur baat ko socho toh samjh hi nahi aati.
akhir me na tumhe samjh paayi na kisi aur baat ko, tumhi batao ki main kya karu..ki sab samjh aa jaaye mujhe..
#love#journal#journalling#poetry#life quotes#spilled journal#spilled words#female writers#writing#hindi#sad quotes#sad life#one sided feelings#friends#situationships#girl in love#only lovers left alive#daily journal#shayari#hindi shayari#prose
3 notes
·
View notes
Text
Stay hungry stay foolish rehna h aur attitude jo ki mujhe hai hi ko aur bhi jyada improve karna h. Mentally strong banana h aur toothkar bahogi na aur vo bhi kisi aur ke liye toh kuch level ka maza aayaga. Aur onground kaam karna h bas time se faraq ni padta aur kisi foundation ke instagram followers ni badhna h genuine kaam karna h value add karna h. Apna shrur karna kuch bhi h ka ni chahiye self made banana h. Khali dimag mai koodra, chinta aur ierasha hoti h. Life kitni mind game se chalti h full on enjoy karo aur apne mai raho aur aisa khelo ki log bhi socha ki baap isko farq hi ni padta kisi cheez se . Bas game se dhyan ni haltna chahiye masti karo bhut. Influence aur Dominate karne ki hona chahiye. Patience rehna sikh liya ab muhje aur bhi jyada particular hokar kaam karna chahiye. Aur bas particular hokar kaam karte raho bas kyuki kab kaha kon si baji kaam kar jaye kio nai keh sakta. Aage jakar yeh sikhne ko mila ki aap aise kisi ke ghar mai nahi reh sakte. Aapko jayada teklif h toh ghar khali kar do kio aapse kuch nahi kahega. Jaha jana h jao jo karna h karo. Bas hamare ghar se nikal jao. Ab aap samhjo aap apne swarth mai aur paise bahchne ke liye kisi ke ghar mai reh rahe ho. Samne wala toh apse kuch nahi keh raha jab aap yaha nahi the. Kio aapko time kyu dega. Sabse badi cheez jo sikhi vo yeh ki temporary rishte ke liye hum apna kitna samay gawah dete h yr. Matlab mere life ke kuch rishte bas Makanmalik aur Kiraydaar wale the. Aur unke liye mai pareshan rahi. Makan khali kar do rishte bhi khali ho jaygey. Iss ek cheez ne hila ke rakh diya yr. Khair yeh sab acha hi hua. Mai bas yeh sochti hu ki yeh cheez jaruri thi kya? Par vahi h ki agar hue h life me toh jaruri hi hogi. Hame kabhi kisi ki takleef nahi banana chahiye. Aage ki life ka ek chota sa trailor bhi dekh liya. Uske liye bhi bhagwan ka bhut shukiriya karna chahogi. Phir ab kuch sochne vicharne ke liye reh hi nahi gaya. Ek mitti ka tela tha jo deh gaya. Bas ab yahi h ki jo ho raha h hone do aur apna kaam karte raho achi tarah se. Bhagwan tumhare saath h aur vo hi tume paar lagayga. Zindagi ke liye jo sabak jarur h vo sikhne ko mile.
0 notes
Text
Continue 5din exam hone ke baad kal and monday chhutti h iss khushi me mein aajke paper ke liye padhna hi bhulgyi
#itna suffer kyu h life mei#yeh kya hua kyu hua#this is me dying#this exam season will be the end of me#exam mei pass marks bhi mushkil lagrhe ab to
4 notes
·
View notes
Text
Tu Hai Kahan Lyrics
Ki Jab Main Hadd Se Aage
Badh Gaya Tha Aashiqui Mein
Yaani Zindagi Ko Le Raha
Mazaak Hi Mein
Phir Mazak Hi Mein
Mil Gaya Sab Khaak Hi Mein
Chhu Kar Aaya Manzilein Toh
Tanha Tha Main Wapsi Mein
Jaise Phool Tode Honge
Tumne Jholi Bhar Ke
Main Woh Phool Jo Ke
Reh Gaya Tha Shakh Hi Mein
Jaise Khwaab Hi Main
Khwabgah Ankh Hi Mein
Pal Se Pal Mein Kya Hua Tum
Reh Gaye Bas Yaad Hi Mein
Ek Sawaal Machalta Hai
Mere Dil Mein Kabhi
Tujhe Main Bhool Jaaun
Ya Tujhe Main Yaad Karun
Tujhi Ko Soch Ke Likhta Hoon
Jo Bhi Likhta Hoon
Ab Likh Raha Hoon Toh
Phir Kyun Na Ek Sawaal Karun
Main Iss Sawaal Se Gham Ko
Badal Doon Khushiyon Mein
Par In Be-Jaan Si Khushiyon Se
Kya Kamaal Karun
Par Ab Sawaal Bhi Kamaal
Tu Sambhal Le Filhaal
Yeh Sawaal Bicha Jaal Kya
Main Chaal Chalun
Chaal Chal Tu Apni
Main Tujhe Pehchan Luga
Main Apni Mehfilon Mein
Sirf Tera Hi Naam Looga
Tujhe Pasand Hai Dheema Lehja
Aur Bas Khamoshiyan
Main Tere Khaatir Apni
Khud Ki Saansein Tham Luga
Kya Tere Saare Aansu
Mere Ho Sakte Hain
Aisa Hai Toh Tere Khatir
Hum Bhi Ro Sakte Hain
Mere Khatir Mere Rone Par
Ab Tum Bas Hans Dena
Ek Bar Tere Muskurahat Ke Pichhe
Hum Sab Kuchh Kho Skate Hain
Kya Meri Mohabbaton Ka
Koyi Hisaab Nahi Hai
Kyun Tere Aankhon Mein
Mere Liye Koyi Khwaab Nahi Hai
Tujhe Kya Hi Karun Ghamzada
Ab Jaane De
Ke Tere Paas Mere Pyar Ka
Jawaab Nahi Hai
Kitni Muddatein Hui Hai
Tumne Khat Kyu Nahi Bheja
Gaa Leta Hun Tere Liye
Mausiqi Nahi Hai Pesha
Aane Ki Khabar Hi Nahi Tere Ab
Ab Kya Mausamon Se Puchhun
Tere Aane La Andesha
Aankhon Mein Aansu Nahi Hai
Kahaan Hai Tu Kahaan Tu Nahi Hai
Dil Ko Yeh Ab Jaan’na Hi Nahi
Bas Tu Chale Aao
Tu Hai Kahan
Khwabon Ke Iss Shehar Mein
Mera Dil Tujhe Dhoondhta
Dhoondhta Arsa Hua
Tujhko Dekha Nahi
Tu Na Jaane Kahan Chhup Gaya
Chup Gaya
Aao Phir Se Hum Chale
Thaam Lo Yeh Hath
Kar Do Kamm Yeh Faasle
Na Pata Ho Manzilon Ka
Na Ho Raste
Tu Ho Main Hoon Baithe Dono
Phir Hum Taaron Ke Tale
Na Subah Ho Phir
Na Hi Din Dhale
Kuchh Na Keh Sake
Kuchh Na Sunn Sake
Baatein Saari Woh
Dil Mein Hi Rahe
Tum Ko Kya Pata Hai
Kya Ho Tum Mere Liye
Kehkashan Ho Tum
Kahaniyon Ki Pariyon Ki
Tarah Ho Tum
Mujhmein Aa Sake Na Koyi
Iss Tarah Ho Tum
Ho Yakeen Tum Mera
Ya Phir Ghumaan Ho Tum
Aashiyan Ho Tum
Main Bhatka Sa Musafir
Aur Makaan Ho Tum
Meri Manzilon Ka
Ek Hi Raasta Ho Tum
Dhoondhta Hai Dil Tujhe
Bata Kahan Ho Tum Hmm..
Ho Jahaan Kahin Bhi
Aao Paas Taaki
Aansu Mere Tham Sake
Yaad Aa Rahe Ho Tum
Mujhe Ab Har Lamhein
Aisi Zindagi Ka Kya
Jo Tum Zindagi Mein Hoke
Meri Zindagi Na Ban Sake
Sochta Rahun Ya
Bhool Jaaun Ab Tumhein
Tum Mil Hi Na Sakogi Toh
Fir Kaise Chahu Ab Tumhein
Tere Saare Khwaab
Pal Mein Jod Denge
Jisme Tu Hi Na Basega
Phir Woh Dil Hi Tod Denge
Chhod Denge Woh Shehar
Ke Jisme Tum Na Hoge
Toot Jayenge Makaan
Woh Saare Hasraton Ke
Guzre Pal Jo Saath Tere
Woh Pal Hai Bas Sukoon Ke
Mil Lo Ab Tum Iss Tarah
Ke Phir Nahi Miloge
Tu Hi Tha Saath Mein Mere
Kaise Main Jeeyuga Akele
Taare Ginn Ginn Ke
Ho Gayi Hai Subah
Tu Hai Kahan
Khwaabon Ke Iss Shehar Mein
Mera Dil Tujhe Dhoondhta
Dhoondhta
Arsa Hua Tujhko Dekha Nahi
Tu Na Jaane Kahan Chhup Gaya
Chhup Gaya
1 note
·
View note
Text
Logo ko bas vohi dikhta hai jo mein unhe dikhana chahti hu. Mujhme esi kitni saari baatein hai jo meine is dunya me kisi ko bayaan nahi ki hai .. ye duniya ke log kitna hi jante hai mujhe? Vo mujhe utna hi jante hai jitna me chahti hu ki jaane. Mere gharwale jis tarah se jante hai us tarah se mere dost nahi . Jis insaan se mein mohabbat karti hu vo bohut koshish karta hai mujhe jaane ki, shayad vo mujhe sabse behtareen janta hai par usse bhi kuch baatein chupakar rkhti hu mein. Ye baat toh tay hai ki log mujhe shayad puri tarike se kabhi jaan nhi paaege ,toh me kyu in logo ko meri zindagi ke usoolo ko badalne ki taqt deri hu? Ye log jinhone meri ruh ko kabhi dekha nahi kabhi jana nahi unhe kyu dikhau me kyu hu kya hua kiske liye hu? Mere dil me kya hai me kya chahti hu ye toh sirf mera khuda janta hai usse beshak kabhi kuch chup nahi sakta toh mera khuda mujhse kyu rooth jaega ? Agar me is duniya ke usoolo se bandhkar na rahu aur apna raasta khud chunu, log kehte hai ki khuda raazi nahi hoga. Par sach baat toh yeh hai ki mera khuda raazi hojaega par ye log nahi. Kyu ? Kyuki mera khuda mere andhere se andheri ruuh ko pehchanta hai aur ye log nahi.. / noor
0 notes
Text
Kya huaa thak gye ho mang-mang kr, kya bilkul he na-mumkin lgrha hai sbkch, gher liya hai kya manfi khayalon ne, kya bhtt dair horhi hai, kya qubooliyat ki koi gunjaish nazar nahi aarhi, kya sabr ab bhtt mushkil horha hai?. To suno tmne thaknaa nahi hai dair ka mtlb inkaar to nahi hai, tum mushkil khusha a.s ke maan ne wale hai. Allah ne kitni ummedein dilayi hai hme usne to keh diyaa hai ke mange walon ki saari duaaein sunta hai to phir in khayalon ko kyu khud par haawi hone de rhe ho, itna intezaar kiya hai tmne to thodaa aur krlo kya pata Allah ko tmhara mangna pasand arha ho aur qubooliyat ka waqt bhi nazdeek ho, kya pata yeh tmhare sabr ki he aazmaish ho to thoda housla rkho aur apne Allah par yakeen aur koshish krte rho kisi rukawat ko apne aur apne Allah ke darmiyaan na aane do jinkaa itna pyaraa Allah ho uske bande uski rehmat se mayoos nahi hua krte.
0 notes
Text
pata nahi kyu lagta tha aisa I was always like YAAARRRR YEH DONO SAME HAI KYA???? ya konsa blog kiska hai 😭😭 maybe dono ka username aisa thoda long sa hai isliye 😭😭
but abhi abhi clear hua ki @maintohthakgayibhaishaab toh badi hai humse 🥹
idk but muje @msperfectlydamaged and @maintohthakgayibhaishaab behene lagti hai 😭 and I was always confused bw them kuch dino pehle tak
10 notes
·
View notes
Text
my favourite tv serials (which i remember the names of):
Yeh Un Dino ki Baat Hai
Kuch Rang Pyaar Ke Aise Bhi
Ashoka
Itna Karo Na Mujhe Pyaar
Behad
Qubool Hai
Adaalat
Rangrasiya
Saraswatichandra
Ishqbaaz
ChandraNandini
Jana Na Dil Se Door
Reporters
Main Na Bhoolungi
Kya Hua Tera Wada
Bade Achhe Lagte Hai
PrithviVallabh
Ladies Special
Anamika
Parwarish
Lajwanti
Yeh Pyaar Nahi To Kya Hai
Patiala Babes
Mere Dad Ki Dulhan
Kyu Uthhe Dil Chhod Aye
Piya Albela
Aur Pyaar Ho Gaya
Ek Tha Raja Ek Thi Rani
Jodha Akbar
Punar Vivah
Sapne Suhaane Ladakpan Ke
Tashan-e-Ishq
Krishnadasi
Ganga
Kulfi Kumarr Bajewala
Har Shaakh Par Ullu Bhaitha Hai
Swaragini
Kahaan Hum Kahaan Tum
RadhaKrishn
Naagin
Kasam
Ishq Ka Rang Safed
16 notes
·
View notes
Text
Aapse pyaar nahi hai, yeh inkaar to Kiya na kabhi
Aapse pyaar hai, yeh ikraar bhi to Kiya na kabhi
Inn Aankhon ne kayi baar bayan kiye naghmein hamare ishq ke
Par afsos ki aapne hamari aankhon me ek baar humme unn naazaro se dekha tak nahi…
Woh kya hai na ki thode purane khayalaat ke hain hum..
Jahan duniya shabado ki baat samajhti rehi ..
Wahan hum Zuban se kam aankhon se jyada bola karte rehe..
Aur kambakht kismat aisi ki har baar aapse nazar andaaz hote rehe..
Kasoor aapka nahi, Galti hamari thi,
Jo Ret ho kar bhi, hawa ke jhonke se dil laga baithe
Pata tha ki hawe ko to beh jana hai, aur ret ko reh jana hai..
Par phir bhi pata nahi kyu toofan pe hi Dil gavaa baithe
Pata tha Hume ki hamari haathon me aapki lakir nahi..
Pata yeh bhi tha Humme ki aapke kisse me hamara zikar nahi..
Aur itna to samajh chuke hai ki humari aapko hamari fikar nahi..
Par dil ye nadaan karta bhi kya..
Aapke aks ka nasha kuch iss kadar chadh rakha tha..
Ki Aapse haseen kabhi kuch aur dikha hi nahi
Aaj bhi jab peeche mud kar dekhte hain,
To yahi socha karte hain,
Ki jaane kaun si baat thi aapki sakshiyat mein
ki aapke sivaa koi aur inn aankhon ko kabhi bhaya hi nahi…
Chaha aapke baad bhi is Dil ne par aapka saaya zikar humare khayalo se kabhi judaa hua hi nahi
Aapka zikar humare khayalo se kabhi judaa hua hi nahi
#devspeaks#collaboration#hindiwriting#poets corner#poets on tumblr#hindipoetry#hindiwords#poem#life quotes#poetry#love poem#unknown
2 notes
·
View notes